Tuesday 4 December 2012

Na main paas usko bula saki

Na main paas usko bula saki
Na main dil ke baat bata saki

Woh hansi hansi main hi chal diye
K main hath tak na hila saki

Yun he sochti rahi door tak
Magar usko kuch na bata saki

Ye maqam hi tha ajeeb sa
k Main khud ko bhi na bacha saki

Wo juda bhi aise hua k main
Koi rasam tak na nibha saki

0 comments:

Post a Comment